बिहार के बारे में तथ्य हिंदी में | Amazing Facts

Bihar me ka ba? Ka ba?
Bihar se jure kuch facts jo bahut kam log jante hai
khud bihar ke log bhi nahi jante
qki hum apna itihas humse bhulwa diya gaya hai or hum bhul bhi gaye hai
Yeh facts sun kar aap surprise to honge hi
khud pe garv karenge ki aap ek bihari hai

Bihar or bihariyo ko koi introduction ki jarurat nahi hai
India ke kisi kone me jao mostly log bihar ka nam jante honge

Lekin Bihar or north eastern states jinhe hum 7 sisters bolte hai ye ayese states hai jo ek victim hai mass discrimination or stereotypes ke

Bihar ke logo ko unke bolne aur chalne ke tariko se unko judge kiya jata hai
Unko uncivilised असभ्य kha jata hai

Esme galti humari bhi hai

Bahut sare ayese movies hai jisme bihariyo ko gunde ki trh dikhaya jata hai
Wo hindi films ho ya apne south ke films

Humara itihas ye gundo wala nahi hai
Hamara itihas mata sita se hai
Hamara itihas nalanda se hai jise jala diya gaya

Bihari ka matlab hota hai bihar ka rehne wala
Lekin kuch log bihari shabd chidhane ke liye use krte hai
esko aise bolte hai jaise gali de rahe ho

Yeh video waise logo ke liye ek jawab hai
Unke liye ek aaina hai
To video shuru karne se pehle aap se request hai channel ko subscribe kare or
Video ko share karke viral bana de

Video pe kamse kam 50,000 likes to aane hi chahiye uske liye jyada se jyada share kijiye facebook or whatsapp pe or comment karke jarur bataeye aap kya sochte hai es video ke bare me

Or es video ko save karlo itni bar dekho ki yaad hojaye ki aap kon ho aapkii pahechan kya hai qki jo log apne itihas ko yaad nahi rakhte wo ithas ban jate hai to ye video aapko inspire bhi karega or motivate bhi karega kuch acha karne ke liye

To chaliye jante hai bihar se related facts ke bare me or ha maine bihar ke logo ke bare me bhi ek video bana rakha hai aap use bhi dekh sakte hai
Fact No 1
Start karte hai devi mata sita se
Devi Mata Sita ka janm bihar me hi hua hai
bihar ke sitamarhi me
Sitamarhi ka naam mata Sita ke naam pe hi para hai
Bataya jata hai mata sita ko janam ke bad
Mithila ke raja Raja Janak
Janakpur lekar chale gaye

Ye pkka hai ki aap me se bahut log ramayan nahi dekhe honge or jo log dekhe bhi honge sayad wo bhul bhi gaye honge
Fact No 2
Nalanda ke bare me suna hi hoga?
Patna se 95 km dur hai
Ye duniya ki sabse purani university hai
Or bahut hi yaha bahut bari library thi
Jha lakho kitabe thi
Log yha videsho se aathe the padhne ke liye

Lekin kisi khilji ki nazar lag gayi or pure libraray ko jala ke barbad kr diya humare itihas ko mita diya gaya
Btaya jata hai yha itni sarii kitabe thi ki puri library ko jalne me 3 mahine lage the

See also  बल्ब के बारे में जानकारी | Bulb Ke Bare Mein Jankari Hindi Mein

Wha ayesi ayesi kitabe thi ki aaj ke modern science ko takkar de skti thi
Fact No 3
महर्षि सुश्रुत ke bare me bhi aapne nahi suna hoga
महर्षि सुश्रुत duniya ka phela surgeon “Father of Surgery”, “Father of Plastic Surgery”, “father of brain surgery kha jata hai
महर्षि सुश्रुत ne surgery ke procedure ka aviskar kiya tha
Btaya jata hai महर्षि सुश्रुत ji ka janam bhi bihar me huaa tha
Unke dwara likhi gai kitab videsho me padhae jati hai
Royal Australasian College of Surgeons, Melbourne australia me unki murti bhi lagai gayi hai
Jo bihar se hazaro kilometre dur hai unko hamara itihas pata hai lekin hume nahi
Fact No 4
Bihar ki pawitra dharti pe 2 dharmo ka janm hua hu
Buddhism aur Jainism jo desh aur duniya me faila hua hai unki suruaat bihar se hi hue thi
Bihar hi wo rajya hai jha se Bhagwan Mahavira aur Bhagwan Gautam Buddha ne duniya ko non-violence ka concept diya
Harr sal desh videsh se log bihar me aate hai bihar en tirth asthalo ke darshan ke liye
Btaya jata hai Guru Gobind Singh ji sahib Sikho ke 10we Guru ka janm bhi bihar me hua tha
Fact No 5
Bihar ka real name Vihaar hai
Bihar nahi
vihar ke log व ko ब bolte hai
b to galt pronunciation ke karn vihaar dheere dheere ban gaya bihar

Bihar shabd sanskrit se liya gaya hai vihaar se
jiska matlab hota hai ghar.

Or es video ko last tak dekhne ke baad aap khenge
ha bihar sach me ghar hai education, history, invention, religion ka
Fact No 6
Kya aap guess kr skte hai bihar me konsi language boli jati hai

Ha pata tha aap bhojpuri bologe
Kuch log to bihari bolenge

Jo log smjte hi bihari ek language hai
Unke knowledge ke liye bata du ki bihari ek identiti hai pehchan hai language nahi
Jaise andhra pradesh ka language hai telegu or kerala ka malayalam

To Bihar me 5 languages boli jati hai

Angika, Bajjika, bhojpuri, magahi, maithali
Lekin bhojpuri sabse jyada popular

Fact No 7
Kya Kabhi aapne Mauritius ka naam suna hai
Nahi na

Humare channel ko subscribe kro
Aapko ayese knowledgeable videos dekhne ko milte rahenge

Mauritius ek desh hai
Ja africa me aata hai or
हिन्द महासागर me isthit hai

Bihar me janme
Sir Seewoosagur Ramgoolam

Wha ke phele pradhan mantri the
Unko wahan ke log
Father of the Nation mante hai

Mauritius ek chota or bahut hi sundar desh hai
Jha hinduism is majority religion hai
Bhojpuri waha pe sabse jyada bole jane wali bhasa hai
Fact No 8
Aapne Aryabhata ji ka naam toh suna hoga..
Agar nahi to koi baat nahi hum batayenge

Pi ka approximate value Aryabhata ji ne hi diya tha
pi ka use circle ka area or circumference pta krne ke liye kiya jata hai

Aryabhata ji ko Father of Algebra bhi kaha jata hai

See also  महाशिवरात्रि पर्व के बारे में जानिये

Aryabhata ji ek famous mathematician, astronomer or scientist the
Unhone hi btaya tha ki planets or moon ki apni light nahi hai wo
Sun ke light ke reflection se chamkte hai
Fact No 9
Btaya jata hai ki Maa Mundeshwari ji ka jo mandir hai wo duniya ka sabse purana hindu mandir hai. Lagbhag dhaeee (2.5) se 3,000 sal purana

इस मंदिर को शक्ति पीठ कहते हैं
Yha pe mata parvati or bhagwan shiv ji ganesh ji ke sath upasthit hai

Btaya jata hai ki yha mata ko bakre ki bali di jati hai
wo bhi usko bina kate matlab bina khun kharabe ke
Bahut hi rasmae tarike se

Next fact batane se pehle aap se request hai agar aapko ye video knowledgeable lag rahi hai to channel ko subscribe kijiye
Fact No 10
Duniya ke mahan Emperors

Mahan सम्राट Chandragupta Maurya, Samudragupta, Vikramaditya, or Ashoka the Great

Ye sabhi bihar se hi hue hai
Magadha dynasty ko to Greatest Kingdom of all time kha jata hai
Fact No 11
Jaise maine phele bola agar aap apna itihas ni yaad rakhoge to dusre aapko apna itihas padhayenge or apne hisab se padhayenge
America ko duniya ka oldest democracy kaha jata hai lekin sachae ye hai ki hamare pyare desh me आज से लगभग 2500 साल पहले वैशाली se democracy ki suruaat hue थीं. Aaj bhi वैशाली jile me iski nisaniya hai. कई इतिहासकारों का ये भी मानना है कि अमेरिका में जब लोकतंत्र ke bare me bat chal रहा था, तब वहां के kanun banane wale logo politicians के दिमाग में वैशाली के गणतंत्र का idea use kiya.
Fact No 12
Humare pyare desh ke pehle aur sabse lambe samay tak bane rhe rashtrapati kon the?
Comment me btao
unka janm bhi bihar me hi huaa tha
Bihar ke Zeradai me jo siwan district me aata hai
Dr. Rajendra Prasad ji lagbhag 12 sal tak desh ke ratrapati rahe
Or Unko Bharat Ratna ka bhi award mila hai
Fact No 13
mathematician Vashishtha Narayan Singh ji jinka janm bihar ke Bhojpur district ke Basantpur me huaa tha
Jinko mathematics ka genius kaha jata hai
Jinhone Einstein ki theory of relativity (E = mc2) ko challenge kiya tha
Wo NASA ke liye bhi kam kar chuke hai
Enke karname janke aap bahut garavwanvit mahsus krenge
Lekin dimag ki bimari ke karan
Humne Vashishtha Narayan Singh ji ko kho diya

Mujhe sharm aati hai ki ayese mahan hasti ko bhi ambulance ke liye 2 ghante intezar karna pra tha unko humne shi se samman bhi nahi diya
Fact No 14
Asia ka sabse bada mela
Bihar ke sonpur me lagta hai
Log dur dur se yaha aate hai es mele ko dekhne ke liye

Yha pe trh trh ke janwar
Dekhne ko milte hai
Bataya jata hai ki yha ke main attraction hatthi hote hai

Lekin ye itihas bhi ab itihas banane ja raha hai ab ye mela gayab ho gaya hai
Fact No 15
Bihar ko generally garib state ki trh dekha jata hai
Dusre logo ke dimag me ek perception bna diya gya hai ek dharna bana di gyi hai ki
Bihar se sirf majdoor hi nikalte hai
Whi pe sirf chori murder hota hai
Lekin sach ye hai ki bihar ayesa rajya hai jha se sabse jyada ias ips nikalte hai
Or rahi bat chori or murder ki to aap sabhi ko pta hai hi kis rajya ki kya isthiti hai or kis desh ki kya isthiti hai

See also  पश्चिम बंगाल की राजकीय प्रतीक की सूची

Fact No 16
Ustad Bismillah Khan shehnai vadak
Subrata Roy – founder and Chairman of the Sahara India Group
Prakash Jha – Gangaajal, Raajneeti, Aarakshan & Satyagraha ke director
Shatrughan Sinha
sonakshi sinha
Manoj Bajpayee
Late Sushant Singh Rajput
Pankaj Tripathi
Sanjay Mishra
Akhilendra Mishra
Shekhar Suman
Neha Sharma
Abhimanyu Singh
Anjana Om Kashyap ptarkar
Shweta Singh
Sushant Sinha
Punya Prasun Bajpai
Ravish Kumar
priyanka chopra ka janm tab ke bihar ke जमशेदपुर me huaa tha jo abhi jharkhand me aata h
Mahendra singh dhoni bhi us time ke Rachi jo phele bihar me aata tha or aaj jharkhand me aata hai

Bihar ne desh duniya ko bahut kuch diya hai
Lekin dukh ki baat hai ki bihar aaj bhi ek bahut hi pichra rajya hai
Aaj bihar jaise rajyo ke karan humare pure desh pe asar parta hai

Fact No 17
Aapse koi puche ki pyar ki chinasi kya hai to aap pkka taj mahal ka example denge kyunki aap ko bachpan se yehi btaya gya hai kitabo me filmo me
Lekin taj mahal pyar ki chinasi nahi gulami ki chinasi hai kitne logo ke laso pe bana hai

Kya aapne दशरथ मांझी ka naam suna hai बिहार के गया जिले se aane wale दशरथ मांझी jinko द माउंटेन मैन ke nam se jana jata hai ye hai sache prem ki nishani jinhone अपनी पत्नी के प्यार में पहाड़ ko काटकर रास्ता बनाया था। बताया जाता है कि इस पहाड़ की वजह से उनकी पत्नी समय रहते अस्पताल नहीं पहुंच पाई थी और समय रहते उनकी मौत हो गई। उस घटना से सबक लेते हुए मांझी ने पहाड़ को छेनी और हथौड़ी से काटकर रास्ता बनाने में लग गया। उनका कहना था कि मेरे पत्नी की तरह कोई और इस रास्ते की वजह से ना मर पाये। छेनी और हथौड़े के सहारे मांझी ने 22 sal me 55 किलोमी​टर की दूरी को 15 किलोमीटर की दूरी में तबदील कर दिया। बिहार सरकार ने उनके इस कारनामे को देखते हुए उन्हें सम्मान भी दिया था।

———————-
Acha aapko ye video kaisi lagi?
Bihar se jure or bhi koi facts agar aap janna chahte hi hume comments me bataye
subscribe kre humare channel ko
Like kare es video ko
share kre esko apne dosto ke sath